Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Shah Sikandar Kaithaly

Rahmatullah Alayh

 

Aap ki wiladat ba saadt  29 Ramdhan 962 Hijri mein hui.Hazrat  Shah Sikandar Qadri Rahmatullah Alayh  ki walida jo Hafiz e Quran aur Alima theen unhon ne Hazrat Hazrat Shah Sikandar Qadri Rahmatullah Alayh  Ki wiladat se qabal aadhi raat ko dekha kay zameen se aasman taq roshni phail gayi hai. Woh ghabra gain  aur bar gaah e Elahi  mein sajda raiz ho gyin kay Ya Allah yeh kya maamla hai. Ghaib se aawaz aayi yeh tumharay betay ki paidaiesh ka waqt hai aur yeh roshni is ke dil ka noor hai.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Hazrat Shah Sikandar Rahmatullah Alayh Hazrat Shah Kamaal Rahmatullah Alayh Rahmatullah Alayh ke potay they .Aik din Hazrat Shah Kamaal Rahmatullah Alayh hoz ke kinare wuzu frma rehe they.Aap Rahmatullah Alayh  ke dayen taraf aap  Ka asa aur amaamh rakha howa tha. Hazrat Shah Sikandar Khailtay Rahmatullah Alayhkhalte  hue aeye aur aap ka amaamh apne sar par rakha aur asa haath mein le kar nihayat matanat aur sanjeedgi se chand qadam chalay phir palat kar apne jadd-e-amjad se poocha bataiye baba mein aap Jaissa lag raha hon. Hazrat Shah Kamal Rahmatullah Alayh  ke chehray par muskurahat phail gayi aur farmaya kay kam sun honay ke bawajood tum mere jaisay lag rahay ho. Ab yeh amaamh aur asa bhi tumhara yeh khilafat bhi tumhari aur tum hi mere janasheen ho gay. Yeh keh kar Hazrat Shah Kamal Rahmatullah Alayh ne Hazrat Shah Sikandar Rahmatullah Alayh  ko seenay se lga liya .

Silsila Alia Qadria ke Sheikh ul Aafaq Hazrat Shah Kamaal Rahmatullah Alayh ke wisaal ke baad roos ul aulia Hazrat Shah Sikandar Rahmatullah Alayh 1023 Hijri mein sjadah nasheen huay Aur apne jadd mohtaram ki terhan rohaniyat o tareqat ke maidan mein taliban haq ki rahnumai farmatay rahay. Aap se faiz panay walay hazraat ki bohat ziyada hai. Magar Sheikh Sirhind Hazrat  Mujaddad Alif Sani Rahmatullah Alayh aur Hazrat Sheikh Tahir Bandagi Lahori Rahmatullah  Alayh  doo aisi shaksiaat hain jinhon ne Hazrat Shah Sikandar Rahmatullah Alayh  se apne aap ko wabsta kya. Un dono hazraat ke Rohani o Imrani  karname ab tareekh ka hissa ban chuke hain .

Hazrat Shah Sikandar  Rahmatullah Alayh ke aulaad o mein rohaniyat ke almbrdar ulama fuzla, shouraa o adba  Khalq e Khuda ke reh numa hotay rahay hain. Chunancha Aqleem shear mein Hazrat Syed Ali Syed aur rohani o siyasi zindagi mein aftaab e wilayat Hazrat Syed Ali Ahmed Gailani Rahmatullah Alayh  ke naam e graami numaya hain. Mokhar al zikar maazi qareeb ke buland paya rohani buzurag they jin ki rohani rah numai mein aik zamane ne raah e haq par chal kar apni aqibat sanwari. Tehreek Pakistan ke douran m osoof ne apne Akhbari  bayan ke zariye mslmanan Bar e Sagheer ko bil umoom aur apne mulKhseen  aur mridin ko bil khushoos qiyam e Pakistan ke liye vote dainay ki hadaayat ki .

Aap saari saari raat ibadat mein mashgool rehtay.Aap ki nazar mein aisi taseer thi kay jis ki taraf  aap dekhte woh be khud ho kar reh jata tha. Aik dafaa aap  Jungle mein aadhi raat ko masroof  e ibadat they kay chaar  rahazan is taraf aa nikle aur aap se shehar ki baabat poocha.Aap ne un ki taraf aisi nigah se dekha kay woh rahzni chhorr kar aap ke halqa adart mein shaamil ho gaye .

Hazrat  Mujaddad Alif Sani  Rahmatullah Alayh Jo kay silsila Qadria mein Hazrat  ke khalifa they farmatay hain kay mein mausam garma mein jab sooraj nisf alnahar par ho to mein khuli aankhon se usay dekh sakta hon lekin Hazrat Shah Sikandar  Rahmatullah Alayh  jo roos ul aulia  hain un ke qalb mubarak ki taraf dekhna chaha to nigehain khaira ho gayin aur taab jamal nah laa saken .

Aik dafaa Hazrat Mujaddad Alif Sani  Rahmatullah Alayh  apni shadi ke baad sakht bemaar ho gaye. Hazrat Mujaddad Alif Sani  Rahmatullah Alayh ke ahal e khanah Hazrat Mujaddad Alif Sani  Rahmatullah Alayh ki zindagi se mayoos ho gaye.Aap ke waalid ne aik qasid ke zariye Hazrat Shah Sikandar Qadri Rahmatullah Alayh se dua ki darkhwast ki.Aap ne dua karne ke baad farmaya ghabranay ki zaroorat nahi hai Hazrat Mujaddad Alif Sani  Rahmatullah Alayh jald sahet yab ho jaien ge aur un ke wujood se deen e mubin ko farogh haasil ho ga. Hazrat Mujaddad Alif Sani  Rahmatullah Alayh Ki  Hazrat Shah Sikandar Qadri Rahmatullah Alayh se mohabbat aur aqeedat ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai kay unhon ney apne betay Yahya ko kbhi is ka naam le kar na puraka kyunkay woh Hazrat Shah Sikandar Qadri Rahmatullah Alayh ki goad mein betha karta tha . Is liye saari umar aap  apne betay ko Shah Geo keh kar pkarte rehtay they. Shah Geo hamesha is baat par fakhr kya karte they kay Hazrat Shah Sikandar Qadri Rahmatullah Alayh ne bachpan mein hi mujhe sulooq Qadria mein musharraf farma liya tha .

Sultan al Mshaykh Hazrat Nizaam Al Deen Aulia Rahmatullah Alayh  se manqool hai kay Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam Shab e Mairaaj mein aik Khirqah bahisht se laaye they. Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ne yeh Khirqah Hazrat Ali Karam Allah Wajhu ko day diya. Phir yeh Khirqah Hazrat Imam Hussain Razi AllahTala Anhu  aur deegar se hota howa Hazrat Syed Abdul Qadar Rahmatullah Alayh  taq pouncha. Phir yeh Khirqah Hazrat Abdul Razzaq Rahmatullah Alayh  se hota howa Hazrat Shah Kamal Qadri Rahmatullah Alayh ke paas pouncha aur phir Hazrat Shah Sikandar Qadri Rahmatullah Alayh ke paas pouncha. Aap ne yeh Khirqah Hazrat Mujaddad Alif Sani  Rahmatullah Alayh Ko ataa farmaya .

Aap ko apne wisaal ke mutaliq pehlay hi ilham ho chuka tha. 9 Jamad al Awal koaap ne taaza ghusal farmaya, namaz parhi aur is ke baad der taq sajday mein rahay. Is ke baad jo tabarruqaat silsila bah silsila chalay aa rehay they apne dono sahbzadon ko inayat farmaiye aur inhen zurori nsihton kian is ke baad aglay roz tulu e aftaab ke baad is dar e fani se rukhsat ho gaye.Aap ka mazaar shareef Kathail  India mein hai .